New: delivery areas, time slots and live tracking for your Online Store.

Security & trust

Aapka Data, Aapki Security

Encryption, encrypted backups aur role-based access. Hum aapke bharose ko seriously lete hain.

Encryption

एन्क्रिप्शन

  • WhatsApp keys, payment gateway keys, bank details, PAN number aur backups jaisi sensitive cheezein AES-256 encryption se store hoti hain.
  • KhataBhai se har connection HTTPS par hota hai, isliye raste mein data encrypted rehta hai.
  • Login WhatsApp pe aaye code se hota hai. Code 10 minute mein expire hota hai aur 3 galat try ke baad kaam nahi karta.

Digital Personal Data Protection Act

डिजिटल पर्सनल डेटा प्रोटेक्शन

  • Hum wahi data rakhte hain jo aapke business ke kaam ke liye zaroori hai.
  • Aapki consent ke bina kuch nahi hota. Data kaise use hoga, yeh aapko pehle se bataya jaata hai.
  • Aapka right hai apna data delete karwane ka. Ek request pe hum sab hata dete hain.

Data Kahan Rehta Hai

डेटा कहाँ रहता है

  • Aapka data established cloud providers pe stored hai: MongoDB Atlas (database), DigitalOcean (servers aur files) aur Vercel (website). Inme se kuch servers India ke bahar ho sakte hain. Backups AES-256 se encrypted hote hain.
  • WhatsApp messages Meta ke WhatsApp Cloud API se aate-jaate hain.
  • Voice, photo aur AI chat ke liye message ka content AI providers (Google Gemini, Groq, Sarvam AI) ko sirf us request ko process karne ke liye bheja jaata hai.

Data Retention Policy

डेटा रिटेंशन पॉलिसी

  • Jab tak aapka account active hai, tab tak data safe rakha jaata hai aapke kaam ke liye.
  • Account delete karne ke 30 din ke andar aapka saara data permanently hata diya jaata hai.
  • Aap kabhi bhi apna data export kar sakte hain. Aapka data, aapka haq.

Role-Based Access

रोल-बेस्ड एक्सेस

  • Owner ko full control milta hai. Manager billing aur reports sambhalta hai. Billing Staff sirf bill bana sakta hai. Viewer sirf dekh sakta hai. Zaroorat ho toh apna custom role bhi bana sakte ho.
  • Har staff member ko sirf utna access milta hai jitna uske kaam ke liye zaroori hai, zyada nahi.
  • Aap kisi ka bhi access instantly badal ya hata sakte hain, ek click mein.

WhatsApp Integration Security

व्हाट्सएप इंटीग्रेशन सिक्योरिटी

  • Hum sirf wahi messages dekhte hain jo KhataBhai ke number ya aapke connect kiye business number par aate hain. Aapki baaki personal chats tak hamari pahunch nahi hai.
  • WhatsApp messages Meta ki official WhatsApp Cloud API se, encrypted connection par aate-jaate hain.
  • Bot ko aaye messages ka record sirf kaam poora karne aur galti theek karne ke liye kuch samay rakha jaata hai, phir apne aap hat jaata hai.

Sawaal hai? WhatsApp par poochein

Security ke baare mein koi bhi sawaal ho, toh seedha WhatsApp pe poochein. Hum har sawaal ka jawaab dete hain.

WhatsApp par poochein