Distributors & Wholesalers
Salesman ne aaj ₹40,000 collect kiya.Aapko kitna mila?
Van ka stock, staff ka collection, cheque aur udhaar. Sab ek jagah, web aur WhatsApp par, ek hi hisaab.


Paisa yahin nikalta hai
- Van me gum hone wala stock
Van stock mismatch
Shaam ko van ka stock kitna bacha?
Van day-close: load, sale, return, sab match.
- Hisaab baad mein
Cash collection
Salesman ne kitna diya, kitna baaki?
Staff settlement, salesman-wise.
- Bina track kiye cheque
Cheque bounce
Kaunsa cheque clear hua?
Cheque status: received, deposited, cleared, bounced.
- Galat rate
Party-wise rate
Kis party ko kya rate?
Party-wise rates, automatic on the bill.
Jo cheezein sirf distributor ko chahiye
Van ka day-close
Kitna load hua, kitna bika, kitna wapas aaya, aur kitna kam hai. Har van ka, har din ka.
Grow aur upar ke plans par.
Staff ka settlement
Ek staff ne din bhar me kitna collect kiya, kitna jama karaya, aur difference kitna hai.
Cheque tracking
Received, deposited, cleared, bounced. Number, bank aur cheque date ke saath.
Route aur visit record
Kaun sa staff kis din kin customers ke paas jaayega, aur us din har stop par kya hua.
Grow aur upar ke plans par.
Party-wise rate
Har customer ka apna rate. Tier banao (Wholesale, Retail), ya ek party ke ek item ka rate alag rakho.
Warehouse-wise stock
Godown, shop aur van, sabka stock alag. Transfer karo to dono taraf record hota hai.
Grow aur upar ke plans par.
Sales return
Maal wapas aaya to credit note banta hai: stock wapas badhta hai, party ka baaki kam hota hai.
Subah van nikalne se shaam day close tak
- 1
Subah
YouVan load, stock assign.
- 2
Din bhar
YouRoute par billing.
- 3
Collection
YouCash, UPI, cheque.
- 4
Shaam
AutomaticDay close, sab match.
FAQ
Jo distributors sabse pehle poochte hain
Kya salesman mobile se bill bana sakta hai?
Haan, WhatsApp par ya phone ke browser me web dashboard se.
Retailer khud order de sakte hain?
Haan, aapke store link se. Approved buyers ko hi rate dikhte hain (Grow aur upar).
Van ka stock kaise track hota hai?
Van ko ek Warehouse ki tarah rakha jaata hai. Godown se van me maal bhejna ek stock transfer hai, van se bechna ek normal invoice hai, aur wapas aaya maal wapas transfer. Day close par dikhta hai kitna gaya, kitna bika, kitna laut aaya aur kitna kam hai. Farak report hota hai, apne aap adjust nahi hota.
Salesman ke collection ka hisaab kaise milta hai?
Jo bhi payment record hoti hai, us par nishaan rehta hai ki kis staff ne li. Settlement isi se banta hai, isliye 'kitna collect kiya' kisi ke batane par nahi, books par chalta hai. Jama ki gayi rakam alag likhi jaati hai aur difference saamne aata hai. Settlement approve karna sirf record hai, usse khaata nahi badalta.
Har party ka alag rate rakh sakte hain?
Haan. Aap tier bana sakte ho jaise Wholesale ya Retail, ya ek party ke ek Item ka rate alag fix kar sakte ho, ya quantity ke hisaab se rate rakh sakte ho. Bill banate waqt sabse specific rate apne aap lagta hai.
Cheque bounce ho jaye to kya hota hai?
Cheque ko bounced mark karte hi uska payment reverse ho jaata hai, aur party ka outstanding wapas utna hi ho jaata hai. Bounce final status hai, isliye record me hamesha dikhta rahega ki wo cheque bounce hua tha.
Kya staff ko poora business dikh jaayega?
Nahi. Staff ko us Warehouse ya branch ka hi data dikhta hai jahan wo assign hai, aur cost price jaisi cheezein alag se chupayi ja sakti hain. Owner ko sab dikhta hai.
Purana data laana padega kya?
Shuru karne ke liye nahi. Aap aaj se billing shuru kar sakte ho aur purana udhaar party ke opening balance ki tarah daal sakte ho. Items, customers aur suppliers baad me bhi add hote rehte hain.
Retailer aapke store link se bhi order kar sakte hain: Online Store dekho. Poora setup: Wholesale & Distribution aur Billing on WhatsApp.
